usne taswir ek banai hai
us ne tasvīr ik banā.ī hai
us ke hāthoñ meñ raushnā.ī hai
jail kā dā.era baḌhā denā
ye na.e daur kī rihā.ī hai
mujh ko anjām par bharosa hai
ye aziyyat to ibtidā.ī hai
ham to saude meñ jaan de dete
us ne qīmat baḌī lagā.ī hai
ek khiḌkī jo dhuup detī hai
peḌ ko kaaT kar banā.ī hai
merī ulfat meñ koī shakl nahīñ
ye mohabbat kī pārsā.ī hai
us ne taswir ek banai hai
us ke hathon mein raushnai hai
jail ka daera baDha dena
ye nae daur ki rihai hai
mujh ko anjam par bharosa hai
ye aziyyat to ibtidai hai
hum to saude mein jaan de dete
us ne qimat baDi lagai hai
ek khiDki jo dhup deti hai
peD ko kaT kar banai hai
meri ulfat mein koi shakl nahin
ye mohabbat ki parsai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.