usne ye fasla is waste rakkha hoga
us ne ye fāsla is vāste rakkhā hogā
paas aa kar mire baiThegā to charchā hogā
aaj phir us ne mujhe yaad kiyā hai shāyad
dil ne yūñhī to nahīñ shor machāyā hogā
dekhnā log mohabbat kī misāleñ deñge
naam aa.egā mirā zikr tumhārā hogā
dard bechainī taḌap ranj-o-alam tanhā.ī
ham ne sochā hī nahīñ itnā ḳhasāra hogā
jis ko din-rāt duāoñ meñ hai māñgā ham ne
vaqt aa.egā kisī din vo hamārā hogā
hijr is vāste manzūr kiyā hai maiñ ne
terā har zaḳhm mujhe dil se gavārā hogā
us kī bechainī batātī hai ki aadil 'rāhī'
bhūlā-bisrā hī koī yaad to aatā hogā
us ne ye fasla is waste rakkha hoga
pas aa kar mere baiThega to charcha hoga
aaj phir us ne mujhe yaad kiya hai shayad
dil ne yunhi to nahin shor machaya hoga
dekhna log mohabbat ki misalen denge
nam aaega mera zikr tumhaara hoga
dard bechaini taDap ranj-o-alam tanhai
hum ne socha hi nahin itna KHasara hoga
jis ko din-raat duaon mein hai manga hum ne
waqt aaega kisi din wo hamara hoga
hijr is waste manzur kiya hai main ne
tera har zaKHm mujhe dil se gawara hoga
us ki bechaini batati hai ki aadil 'rahi'
bhula-bisra hi koi yaad to aata hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.