usne yun hi to sar-e-rah na Toka hoga
us ne yuuñ hī to sar-e-rāh na Tokā hogā
merā ham-shakl koī us kā shanāsā hogā
sar pe saa.e kī jagah dhuup kā sahrā hogā
soch lo ye bhī zarā rāsta lambā hogā
qahr mausam ne vo toḌe haiñ ki jangal jangal
ab kisī peḌ meñ phal-phūl na pattā hogā
gard chehre pe jame yā jame ā.īne par
'aks har haal meñ dekhoge to dhuñdlā hogā
aa.ine phuuT ke rote haiñ to kahte haiñ suno
ham se ab bhāgte lamhoñ kā na pīchhā hogā
jagmagā jā.egā kuchh aur tirā shahr-e-badan
jā-ba-jā lams kā jab us meñ tamāshā hogā
us ne yun hi to sar-e-rah na Toka hoga
mera ham-shakl koi us ka shanasa hoga
sar pe sae ki jagah dhup ka sahra hoga
soch lo ye bhi zara rasta lamba hoga
qahr mausam ne wo toDe hain ki jangal jangal
ab kisi peD mein phal-phul na patta hoga
gard chehre pe jame ya jame aaine par
'aks har haal mein dekhoge to dhundla hoga
aaine phuT ke rote hain to kahte hain suno
hum se ab bhagte lamhon ka na pichha hoga
jagmaga jaega kuchh aur tera shahr-e-badan
ja-ba-ja lams ka jab us mein tamasha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.