us nigah-e-mast se jab wajd mein aati hun main
us nigāh-e-mast se jab vajd meñ aatī huuñ maiñ
kaif-o-rañg-o-nūr kī duniyā pe chhā jaatī huuñ maiñ
kyā kahūñ kyā hai mohabbat kā fareb-e-ḳhud-nigar
dekhtī huuñ jis taraf ḳhud hī nazar aatī huuñ maiñ
chāhtī to huuñ ki maujoñ se rahūñ dāman-kashāñ
kashtī-e-ġham huuñ bhañvar meñ phir bhī aa jaatī huuñ maiñ
sub.h tak Thahrā nazar aatā hai daur-e-āsmāñ
jab tasavvur meñ tire rātoñ ko kho jaatī huuñ maiñ
jaam gir paḌtā hai saaqī thartharā jaate haiñ haath
terī āñkheñ dekh kar nashshe meñ aa jaatī huuñ maiñ
un kī āñkheñ der tak rahtī haiñ rashk-e-kahkashāñ
jab kabhī rātoñ ko 'najma' yaad aa jaatī huuñ maiñ
us nigah-e-mast se jab wajd mein aati hun main
kaif-o-rang-o-nur ki duniya pe chha jati hun main
kya kahun kya hai mohabbat ka fareb-e-KHud-nigar
dekhti hun jis taraf KHud hi nazar aati hun main
chahti to hun ki maujon se rahun daman-kashan
kashti-e-gham hun bhanwar mein phir bhi aa jati hun main
subh tak Thahra nazar aata hai daur-e-asman
jab tasawwur mein tere raaton ko kho jati hun main
jam gir paDta hai saqi tharthara jate hain hath
teri aankhen dekh kar nashshe mein aa jati hun main
un ki aankhen der tak rahti hain rashk-e-kahkashan
jab kabhi raaton ko 'najma' yaad aa jati hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.