us par bhi dushmanon ka kahin saya paD gaya
us par bhi dushmanon ka kahin saya paD gaya
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
us par bhī dushmanoñ kā kahīñ saaya paḌ gayā
ġham sā purānā dost bhī āḳhir bichhaḌ gayā
jī chāhtā to baiThte yādoñ kī chhāñv meñ
aisā ghanā daraḳht bhī jaḌ se ukhaḌ gayā
ġhairoñ ne mujh ko dafn kiyā shāh-rāh par
maiñ kyuuñ na apnī ḳhaak meñ ġhairat se gaḌ gayā
ḳhalvat meñ jis kī narm-mizājī thī be-misāl
mahfil meñ be-sabab vahī mujh se akaḌ gayā
bas itnī baat thī ki ayādat ko aa.e log
dil ke har ek zaḳhm kā Tāñkā udhaḌ gayā
kis kis ko apne ḳhūn-e-jigar kā hisāb duuñ
ik qatra bach rahā hai so vo bhī nibaḌ gayā
yāroñ ne ḳhuub jā ke zamāne se sulh kī
maiñ aisā bad-dimāġh yahāñ bhī bichhaḌ gayā
kotāhiyoñ kī apnī maiñ tāvīl kyā karūñ
merā har ek khel mujhī se bigaḌ gayā
ab kyā batā.eñ kyā thā ḳhayāloñ ke shahr meñ
basne se pahle vaqt ke hāthoñ ujaḌ gayā
us par bhi dushmanon ka kahin saya paD gaya
gham sa purana dost bhi aaKHir bichhaD gaya
ji chahta to baiThte yaadon ki chhanw mein
aisa ghana daraKHt bhi jaD se ukhaD gaya
ghairon ne mujh ko dafn kiya shah-rah par
main kyun na apni KHak mein ghairat se gaD gaya
KHalwat mein jis ki narm-mizaji thi be-misal
mahfil mein be-sabab wahi mujh se akaD gaya
bas itni baat thi ki ayaadat ko aae log
dil ke har ek zaKHm ka Tanka udhaD gaya
kis kis ko apne KHun-e-jigar ka hisab dun
ek qatra bach raha hai so wo bhi nibaD gaya
yaron ne KHub ja ke zamane se sulh ki
main aisa bad-dimagh yahan bhi bichhaD gaya
kotahiyon ki apni main tawil kya karun
mera har ek khel mujhi se bigaD gaya
ab kya bataen kya tha KHayalon ke shahr mein
basne se pahle waqt ke hathon ujaD gaya
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 44)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.