us par nigah phirti rahi aur dur dur
us par nigāh phirtī rahī aur duur duur
ḳhvāboñ kā ek baaġh nigāhoñ meñ khil gayā
hairāñ bahut huā mirī āñkhoñ meñ jhāñk kar
aur phir vo in meñ phailte manzar meñ mil gayā
koī to shai thī jo mire andar badal ga.ī
yā zaḳhm khul gayā koī yā koī sil gayā
ḳhvāboñ se ik ḳhumār meñ malbūs vo badan
ik rañg-e-nashsha thā jo mire ḳhuuñ meñ khil gayā
guzrī thī us ke paas se ik mauj-e-be-niyāz
andar talak daraḳht mire dil kā hil gayā
us par nigah phirti rahi aur dur dur
KHwabon ka ek bagh nigahon mein khil gaya
hairan bahut hua meri aankhon mein jhank kar
aur phir wo in mein phailte manzar mein mil gaya
koi to shai thi jo mere andar badal gai
ya zaKHm khul gaya koi ya koi sil gaya
KHwabon se ek KHumar mein malbus wo badan
ek rang-e-nashsha tha jo mere KHun mein khil gaya
guzri thi us ke pas se ek mauj-e-be-niyaz
andar talak daraKHt mere dil ka hil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.