us par to kabhi dil ka koi zor nahin tha
us par to kabhī dil kā koī zor nahīñ thā
ham sā bhī zamāne meñ koī aur nahīñ thā
jis vaqt vo ruḳhsat huā bārāt kī mānind
ik Tiis sī uTThī thī koī shor nahīñ thā
vīrān sī is duniyā meñ ham kis se bahalte
jañgal thā udāsī thī koī mor nahīñ thā
dil TuuT gayā thā to juḌāte kahīñ jā kar
is kaam kā duniyā meñ koī taur nahīñ thā
ḳhanjar kī chubhan se hī maiñ pahchān gayā thā
vo tū thā mire dost koī aur nahīñ thā
us par to kabhi dil ka koi zor nahin tha
hum sa bhi zamane mein koi aur nahin tha
jis waqt wo ruKHsat hua baraat ki manind
ek Tis si uTThi thi koi shor nahin tha
viran si is duniya mein hum kis se bahalte
jangal tha udasi thi koi mor nahin tha
dil TuT gaya tha to juDate kahin ja kar
is kaam ka duniya mein koi taur nahin tha
KHanjar ki chubhan se hi main pahchan gaya tha
wo tu tha mere dost koi aur nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.