us pari-paikar ki aankhon mein jhalak rah jaegi
us parī-paikar kī āñkhoñ meñ jhalak rah jā.egī
vo chalī jā.egī to ḳhālī saḌak rah jā.egī
phuul us kī yaad ke rakkhe hue haiñ mez par
ye agar murjhā ga.e in kī mahak rah jā.egī
vo kalā.ī to phisal jā.egī hāthoñ se magar
chūḌiyoñ kī mere kānoñ meñ khanak rah jā.egī
ek din vo naqsh bhī dhuñdle se paḌte jā.eñge
zehn meñ vo shakl bhī tasvīr tak rah jā.egī
phir koī tālāb meñ pheñkegā patthar zor se
phir kisī shai kī darūn-e-dil kasak rah jā.egī
lauT jā.egā koī dar ko muqaffal dekh kar
aur darvāze pe kunDī kī khaTak rah jā.egī
phir ghaḌī kī suuī bhī ruk jā.egī us ke baġhair
sirf dil meñ us ke qadmoñ kī dhamak rah jā.egī
dhuup Dhal jā.egī vaqt-e-shām hote hī 'zahūr'
aur chamkīle se chehroñ kī chamak rah jā.egī
us pari-paikar ki aankhon mein jhalak rah jaegi
wo chali jaegi to KHali saDak rah jaegi
phul us ki yaad ke rakkhe hue hain mez par
ye agar murjha gae in ki mahak rah jaegi
wo kalai to phisal jaegi hathon se magar
chuDiyon ki mere kanon mein khanak rah jaegi
ek din wo naqsh bhi dhundle se paDte jaenge
zehn mein wo shakl bhi taswir tak rah jaegi
phir koi talab mein phenkega patthar zor se
phir kisi shai ki darun-e-dil kasak rah jaegi
lauT jaega koi dar ko muqaffal dekh kar
aur darwaze pe kunDi ki khaTak rah jaegi
phir ghaDi ki sui bhi ruk jaegi us ke baghair
sirf dil mein us ke qadmon ki dhamak rah jaegi
dhup Dhal jaegi waqt-e-sham hote hi 'zahur'
aur chamkile se chehron ki chamak rah jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.