us pe jo mere mashware ka kuchh asar lage
us pe jo mere mashvare kā kuchh asar lage
us be-zamīr shaḳhs ke shānoñ pe sar lage
maidān-e-jang meñ to maiñ sīna-sipar rahā
phir kaise itne zaḳhm mirī pusht par lage
is se musāfiroñ ne kiyā is tarah sulūk
shāyad ye ḳhāl-o-ḳhad se ab apne shajar lage
ehsās-e-kamtarī kā kiyā jaa.e kyā ilaaj
us shaḳhs ko to har ghaḌī ḳhud hī se Dar lage
us ko agar hai mere taḳhātub pe ehtijāj
us se kaho kī tarz-e-amal se bashar lage
mujh ko zarūratoñ ne kahāñ pe khaḌā kiyā
ab zindagī kā aib bhī mujh ko hunar lage
terī zabāñ dikhātī hai urdu kā mo.ajiza
'dilbar' tavīl baat tirī muḳhtasar lage
us pe jo mere mashware ka kuchh asar lage
us be-zamir shaKHs ke shanon pe sar lage
maidan-e-jang mein to main sina-sipar raha
phir kaise itne zaKHm meri pusht par lage
is se musafiron ne kiya is tarah suluk
shayad ye KHal-o-KHad se ab apne shajar lage
ehsas-e-kamtari ka kiya jae kya ilaj
us shaKHs ko to har ghaDi KHud hi se Dar lage
us ko agar hai mere taKHatub pe ehtijaj
us se kaho ki tarz-e-amal se bashar lage
mujh ko zaruraton ne kahan pe khaDa kiya
ab zindagi ka aib bhi mujh ko hunar lage
teri zaban dikhati hai urdu ka moajiza
'dilbar' tawil baat teri muKHtasar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.