us pe kya guzregi waqt marg andaza laga
us pe kyā guzregī vaqt marg andāza lagā
muntashir hastī kā apnī jis ko shīrāza lagā
auliyā-allāh kī chaukhaT ke bhī ādāb haiñ
sar uThā kar jo bhī aayā us ko darvāza lagā
nuur kī chādar tanī hai yuuñ fazā-e-dahr par
jaise taare toḌne ko dast-e-ḳhamyāza lagā
jaane kis andāz se us shoḳh ne Daalī nazar
jo purānā zaḳhm thā vo bhī hameñ taaza lagā
mai-kade kā ek hī dam meñ badal jaa.e nizām
sū-e-mai-ḳhāna bhī 'āsī' aisā āvāza lagā
us pe kya guzregi waqt marg andaza laga
muntashir hasti ka apni jis ko shiraaza laga
auliya-allah ki chaukhaT ke bhi aadab hain
sar uTha kar jo bhi aaya us ko darwaza laga
nur ki chadar tani hai yun faza-e-dahr par
jaise tare toDne ko dast-e-KHamyaza laga
jaane kis andaz se us shoKH ne Dali nazar
jo purana zaKHm tha wo bhi hamein taza laga
mai-kade ka ek hi dam mein badal jae nizam
su-e-mai-KHana bhi 'asi' aisa aawaza laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.