us peD ko chhua to samar-dar ho gaya
us peḌ ko chhuā to samar-dār ho gayā
phir jaane kyā huā vo sharar-bār ho gayā
mausam kī bhuul thī ki mirī dastaras kī baat
patthar se ek phuul numūdār ho gayā
bikhre hue haiñ dil meñ mirī ḳhvāhishoñ ke rañg
ab maiñ bhī ik sajā huā bāzār ho gayā
ik baar maiñ bhī ḳhvāb meñ baiThā thā taḳht par
āñkheñ khulīñ to aur bhī nādār ho gayā
pahle to sar ko phoḌ liyā us ko dekh kar
phir maiñ bhī ek rauzan-e-dīvār ho gayā
vaise tamām umr mirī niiñd meñ kaTī
ghar meñ naqab lagī to maiñ bedār ho gayā
yaaro ye zindagī kā makāñ bhī ajiib hai
ta.amīr ho gayā kabhī mismār ho gayā
lafzoñ ke phuul aañch sī dene lage mujhe
bebāk aaj sho.ala-e-guftār ho gayā
dushman nazar paḌā to miTīñ ranjisheñ tamām
laḌne ko saarā shahr hī tayyār ho gayā
mujrim barī huā to ka.ī qatl ho ga.e
bastī kā ik ġharīb giraftār ho gayā
'afzal' kuchh is tarah kī achānak havā chalī
sāñseñ bahāl rakhnā bhī dushvār ho gayā
us peD ko chhua to samar-dar ho gaya
phir jaane kya hua wo sharar-bar ho gaya
mausam ki bhul thi ki meri dastaras ki baat
patthar se ek phul numudar ho gaya
bikhre hue hain dil mein meri KHwahishon ke rang
ab main bhi ek saja hua bazar ho gaya
ek bar main bhi KHwab mein baiTha tha taKHt par
aankhen khulin to aur bhi nadar ho gaya
pahle to sar ko phoD liya us ko dekh kar
phir main bhi ek rauzan-e-diwar ho gaya
waise tamam umr meri nind mein kaTi
ghar mein naqab lagi to main bedar ho gaya
yaro ye zindagi ka makan bhi ajib hai
tamir ho gaya kabhi mismar ho gaya
lafzon ke phul aanch si dene lage mujhe
bebak aaj shoala-e-guftar ho gaya
dushman nazar paDa to miTin ranjishen tamam
laDne ko sara shahr hi tayyar ho gaya
mujrim bari hua to kai qatl ho gae
basti ka ek gharib giraftar ho gaya
'afzal' kuchh is tarah ki achanak hawa chali
sansen bahaal rakhna bhi dushwar ho gaya
- Book : siip (Magzin) (Pg. 235)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.