Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us rashk-e-mah ki yaad dilati hai chandni

Mushafi Ghulam Hamdani

us rashk-e-mah ki yaad dilati hai chandni

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    us rashk-e-mah yaad dilātī hai chāndnī

    har raat mujh ko aa ke satātī hai chāndnī

    āb-e-ravāñ meñ husn milātī hai chāndnī

    har mauj meñ ghaTī nazar aatī hai chāndnī

    baiThte haiñ ham lab-e-dariyā pe jab kabhū

    kyā jhumke apne ham ko dikhātī hai chāndnī

    sāmān-e-bazm-e-bāda maiñ kartā huuñ jis ghaḌī

    aa chāndnī farsh bichhātī hai chāndnī

    sahrā meñ ke dekh ki har rūd-e-ḳhushk ko

    ham rañg-e-jū-e-shīr banātī hai chāndnī

    jab dekhtī hai duudh pinDā tirā miyāñ

    ḳhajlat se aab huī jaatī hai chāndnī

    pyāre añdherī rāteñ haiñ aise meñ mil le

    phir varna chāñd chaḌhte aatī hai chāndnī

    gar vo bhī qadr-dāñ ho to be-jazba-e-talab

    rūThe hue sanam ko milātī hai chāndnī

    kyūñkar na maiñ jalūñ shab-e-hijrāñ meñ 'mus.hafī'

    bin yaar mere ko jalātī hai chāndnī

    us rashk-e-mah ki yaad dilati hai chandni

    har raat mujh ko aa ke satati hai chandni

    aab-e-rawan mein husn milati hai chandni

    har mauj mein ghaTi nazar aati hai chandni

    ja baiThte hain hum lab-e-dariya pe jab kabhu

    kya jhumke apne hum ko dikhati hai chandni

    saman-e-bazm-e-baada main karta hun jis ghaDi

    aa chandni ka farsh bichhati hai chandni

    sahra mein ja ke dekh ki har rud-e-KHushk ko

    hum rang-e-ju-e-shir banati hai chandni

    jab dekhti hai dudh sa pinDa tera miyan

    KHajlat se aab hi hui jati hai chandni

    pyare andheri raaten hain aise mein mil le tu

    phir warna chand chaDhte hi aati hai chandni

    gar wo bhi qadr-dan ho to be-jazba-e-talab

    ruThe hue sanam ko milati hai chandni

    kyunkar na main jalun shab-e-hijran mein 'mushafi'

    bin yar mere ji ko jalati hai chandni

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now