us rashk-e-qamar ki hamein aai jo nazar naf
us rashk-e-qamar kī hameñ aa.ī jo nazar naaf
ham samjhe ki hai ik girah-e-mū-e-kamar naaf
kurte kā garebān garebān-e-sahar hai
gorā shikam un kā hai sahar najm-e-sahar naaf
kis darja badan kī tirī rañgat hai sunahrī
sone kā varaq peT hai to bo tah-e-zar-e-nāf
pistān haiñ habāb aur shikam bahr-e-latāfat
maujeñ haiñ baTīñ peT kī dariyā kā bhañvar naaf
vo ā.īna vo baal hai vo chhālā hai us kā
hairat meñ huuñ maiñ dekh ke bas peT kamar naaf
ho gor-e-gaḌhā kūcha-e-jānāñ meñ hamārā
ham mar ga.e haiñ dekh ke bas ek nazar naaf
har uzv bhaḌakne meñ hai ai 'mehr' saqanqūr
jaalī kī vo kartī to hai jaal aur bhañvar naaf
us rashk-e-qamar ki hamein aai jo nazar naf
hum samjhe ki hai ek girah-e-mu-e-kamar naf
kurte ka gareban gareban-e-sahar hai
gora shikam un ka hai sahar najm-e-sahar naf
kis darja badan ki teri rangat hai sunahri
sone ka waraq peT hai to bo tah-e-zar-e-naf
pistan hain habab aur shikam bahr-e-latafat
maujen hain baTin peT ki dariya ka bhanwar naf
wo aaina wo baal hai wo chhaala hai us ka
hairat mein hun main dekh ke bas peT kamar naf
ho gor-e-gaDha kucha-e-jaanan mein hamara
hum mar gae hain dekh ke bas ek nazar naf
har uzw bhaDakne mein hai ai 'mehr' saqanqur
jali ki wo karti to hai jal aur bhanwar naf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.