us ruKH pe phir gulab se khilne lage to hain
us ruḳh pe phir gulāb se khilne lage to haiñ
ai chashm-e-ishtiyāq tire din phire to haiñ
kuchh ehtimām-e-raunaq-e-mai-ḳhāna hai zarūr
ThanDī havā chalī to hai bādal ghire to haiñ
lo ab to aa.ī manzil-e-jānāñ se bū-e-ḳhush
kuchh Thokareñ lagī to haiñ kāñTe chubhe to haiñ
vo kar ke apne chāhne vāloñ kā qatl-e-ām
ab kuchh pasījne to lage haiñ dabe to haiñ
gulshan kī ḳhair ho to gavārā qafas hameñ
uḌtī sī hai ḳhabar ki na.e gul khile to haiñ
takfīr se na jis kī bachā ek rind bhī
is zohd se bhī makr ke parde uThe to haiñ
apne niyāz-mand ke sidq-o-safā ko vo
yuuñ mānte nahīñ haiñ magar jānte to haiñ
phir masnad-e-qazā pe huā zulm jalva-gar
ta.azīr-e-jurm-e-ishq ke sāmāñ hue to haiñ
is daur ke zalām meñ sūraj bhī gum sahī
saath apne dāġh-hā-e-kuhan ke diye to haiñ
us ruKH pe phir gulab se khilne lage to hain
ai chashm-e-ishtiyaq tere din phire to hain
kuchh ehtimam-e-raunaq-e-mai-KHana hai zarur
ThanDi hawa chali to hai baadal ghire to hain
lo ab to aai manzil-e-jaanan se bu-e-KHush
kuchh Thokaren lagi to hain kanTe chubhe to hain
wo kar ke apne chahne walon ka qatl-e-am
ab kuchh pasijne to lage hain dabe to hain
gulshan ki KHair ho to gawara qafas hamein
uDti si hai KHabar ki nae gul khile to hain
takfir se na jis ki bacha ek rind bhi
is zohd se bhi makr ke parde uThe to hain
apne niyaz-mand ke sidq-o-safa ko wo
yun mante nahin hain magar jaante to hain
phir masnad-e-qaza pe hua zulm jalwa-gar
tazir-e-jurm-e-ishq ke saman hue to hain
is daur ke zalam mein suraj bhi gum sahi
sath apne dagh-ha-e-kuhan ke diye to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.