us saz ki aawaz zara bhi nahin aati
us saaz kī āvāz zarā bhī nahīñ aatī
dil TūTtā hai aur sadā bhī nahīñ aatī
rang uḌ gayā aisā jo dulhan ho ga.ī beva
hāthoñ meñ nazar us ke hinā bhī nahīñ aatī
ye hai na.ī tahzīb kī uryānī kā aalam
faḳhr is ko samajhne meñ hayā bhī nahīñ aatī
raushan vo charāġh apne azā.em se kiyā hai
is samt havā kī to havā bhī nahīñ aatī
marne se na ghabrāo agar hādisa aa.e
marzī na ho rab kī to qazā bhī nahīñ aatī
har baat meñ vo ijz ke paikar haiñ nazar ham
lab par kabhī guftār-e-anā bhī nahīñ aatī
us saz ki aawaz zara bhi nahin aati
dil TuTta hai aur sada bhi nahin aati
rang uD gaya aisa jo dulhan ho gai bewa
hathon mein nazar us ke hina bhi nahin aati
ye hai nai tahzib ki uryani ka aalam
faKHr is ko samajhne mein haya bhi nahin aati
raushan wo charagh apne azaem se kiya hai
is samt hawa ki to hawa bhi nahin aati
marne se na ghabrao agar hadisa aae
marzi na ho rab ki to qaza bhi nahin aati
har baat mein wo ijz ke paikar hain nazar hum
lab par kabhi guftar-e-ana bhi nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.