us sang-dil ke dil mein mohabbat ne ghar kiya
us sang-dil ke dil mein mohabbat ne ghar kiya
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
us sang-dil ke dil meñ mohabbat ne ghar kiyā
muddat ke baad aah ne apnī asar kiyā
teġh-e-nigah ke sāmne siina sipar kiyā
kab ham ne apnī jaan kā ḳhauf-o-ḳhatar kiyā
sābit karo ḳhatā mirī phir apnā muñh chhupāo
kis raat ko nazāra-e-rū-e-qamar kiyā
sayyād kā ye zulm na bhūlūñgā umr bhar
fasl-e-bahār aate hī be-bāl-o-par kiyā
lo apne ghar vo sub.h se pahle hī jaate haiñ
andher kyā ye nāla-e-murġh-e-sahar kiyā
chauñke sadā-e-sūr-e-sarāfīl se na ham
saaqī tirī nigāh ne ye be-ḳhabar kiyā
kāTūñgā is adā pe gila apne haath se
qātil ne aaj nīmcha zeb-e-kamar kiyā
ruḳhsat kā naam sunte hī bas dam nikal gayā
jaane se un ke pahle hī ham ne safar kiyā
kyā kyā kiyā na aap kī ulfat ne mere saath
rusvā kiyā ḳharāb kiyā dar-ba-dar kiyā
'vahbī' phir un ke vasl ko tarsoge umr bhar
naala shab-e-firāq meñ tum ne agar kiyā
us sang-dil ke dil mein mohabbat ne ghar kiya
muddat ke baad aah ne apni asar kiya
tegh-e-nigah ke samne sina sipar kiya
kab hum ne apni jaan ka KHauf-o-KHatar kiya
sabit karo KHata meri phir apna munh chhupao
kis raat ko nazara-e-ru-e-qamar kiya
sayyaad ka ye zulm na bhulunga umr bhar
fasl-e-bahaar aate hi be-baal-o-par kiya
lo apne ghar wo subh se pahle hi jate hain
andher kya ye nala-e-murgh-e-sahar kiya
chaunke sada-e-sur-e-sarafil se na hum
saqi teri nigah ne ye be-KHabar kiya
kaTunga is ada pe gila apne hath se
qatil ne aaj nimcha zeb-e-kamar kiya
ruKHsat ka nam sunte hi bas dam nikal gaya
jaane se un ke pahle hi hum ne safar kiya
kya kya kiya na aap ki ulfat ne mere sath
ruswa kiya KHarab kiya dar-ba-dar kiya
'wahbi' phir un ke wasl ko tarsoge umr bhar
nala shab-e-firaq mein tum ne agar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.