us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai
us sañg-e-āstāñ pe jabīn-e-niyāz hai
vo apnī jā-namāz hai aur ye namāz hai
nā-sāz hai jo ham se usī se ye saaz hai
kyā ḳhuub dil hai vaah hameñ jis pe naaz hai
pahuñchā hai shab kamand lagā kar vahāñ raqīb
sach hai harām-zāde kī rassī darāz hai
us but pe gar ḳhudā bhī ho āshiq to aa.e rashk
har-chand jāntā huuñ ki vo pāk-bāz hai
maddāh-e-ḳhāl-e-rū-e-butāñ huuñ mujhe ḳhudā
baḳhshe to kyā ajab ki vo nukta-navāz hai
Dartā huuñ ḳhanjar us kā na bah jaa.e ho ke aab
mere gale meñ nāla-e-āhan-gudāz hai
darvāza mai-kade kā na kar band mohtasib
zālim ḳhudā se Dar ki dar-e-tauba baaz hai
ḳhāna-ḳharābiyāñ dil-e-bīmār-e-ġham kī dekh
vo hī davā ḳharāb hai jo ḳhāna-sāz hai
shabnam kī jā-e-gul se Tapaktī haiñ shoḳhiyāñ
gulshan meñ kis kī ḳhāk-e-shahīdān-e-nāz hai
aah o fuġhāñ na kar jo khule 'zauq' dil kā haal
har naala ik kalīd-e-dar-e-ganj-e-rāz hai
us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai
wo apni ja-namaz hai aur ye namaz hai
na-saz hai jo hum se usi se ye saz hai
kya KHub dil hai wah hamein jis pe naz hai
pahuncha hai shab kamand laga kar wahan raqib
sach hai haram-zade ki rassi daraaz hai
us but pe gar KHuda bhi ho aashiq to aae rashk
har-chand jaanta hun ki wo pak-baz hai
maddah-e-KHal-e-ru-e-butan hun mujhe KHuda
baKHshe to kya ajab ki wo nukta-nawaz hai
Darta hun KHanjar us ka na bah jae ho ke aab
mere gale mein nala-e-ahan-gudaz hai
darwaza mai-kade ka na kar band mohtasib
zalim KHuda se Dar ki dar-e-tauba baz hai
KHana-KHarabiyan dil-e-bimar-e-gham ki dekh
wo hi dawa KHarab hai jo KHana-saz hai
shabnam ki ja-e-gul se Tapakti hain shoKHiyan
gulshan mein kis ki KHak-e-shahidan-e-naz hai
aah o fughan na kar jo khule 'zauq' dil ka haal
har nala ek kalid-e-dar-e-ganj-e-raaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.