us se baaton mein na uljha kijiye
us se bātoñ meñ na uljhā kījiye
kyoñ kisī aafat kā saudā kījiye
dafn haiñ sachchā.iyāñ chāroñ taraf
aap ḳhāmoshī se niklā kījiye
guzre lamhoñ se bhī miltā hai sabaq
yād-e-māzī ko TaTolā kījiye
kitnā gahrā hai samundar dekhiye
aur phir dāman bhigoyā kījiye
jo gunāh ke rāstoñ par chal paḌe
us ko rāh-e-haq dikhāyā kījiye
hai tire mahbūb kī mehñdī kā rang
is ko āñkhoñ se lagāyā kījiye
kar ke chehre par raqam sachchā.iyāñ
aa.ina phir aap dekhā kījiye
roz mil kar bhī nahīñ pahchānte
āshnā.ī kā na da.avā kījiye
lab pe ho shukr-e-ḳhudā har haal meñ
zindagī ko yuuñ guzārā kījiye
aap se jo TuuT kar miltā na ho
us se milne kī tamanna kījiye
gungunā kar aap ye merī ġhazal
ek shā.ir ko na rusvā kījiye
ḳhauf hai jo tund jhoñkoñ kā 'sa.īd'
mat charāġhoñ ko jalāyā kījiye
us se baaton mein na uljha kijiye
kyon kisi aafat ka sauda kijiye
dafn hain sachchaiyan chaaron taraf
aap KHamoshi se nikla kijiye
guzre lamhon se bhi milta hai sabaq
yaad-e-mazi ko TaTola kijiye
kitna gahra hai samundar dekhiye
aur phir daman bhigoya kijiye
jo gunah ke raston par chal paDe
us ko rah-e-haq dikhaya kijiye
hai tere mahbub ki mehndi ka rang
is ko aankhon se lagaya kijiye
kar ke chehre par raqam sachchaiyan
aaina phir aap dekha kijiye
roz mil kar bhi nahin pahchante
aashnai ka na dawa kijiye
lab pe ho shukr-e-KHuda har haal mein
zindagi ko yun guzara kijiye
aap se jo TuT kar milta na ho
us se milne ki tamanna kijiye
gunguna kar aap ye meri ghazal
ek shair ko na ruswa kijiye
KHauf hai jo tund jhonkon ka 'said'
mat charaghon ko jalaya kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.