us se bhī aisī ḳhatā ho ye zarūrī to nahīñ
vo bhī majbūr-e-vafā ho ye zarūrī to nahīñ
log chehre pe ka.ī chehre chaḌhā lete haiñ
vo bhī khul kar hī milā ho ye zarūrī to nahīñ
ab ke jab us se milo haath dabā kar dekho
ab bhī vo tum se ḳhafā ho ye zarūrī to nahīñ
justujū kis kī hai ye dasht-e-fanā ke is paar
vo koī aur rahā ho ye zarūrī to nahīñ
daar pe khīñche ga.e kitne zamāne meñ 'shakīl'
har koī iisā rahā ho ye zarūrī to nahīñ
us se bhi aisi KHata ho ye zaruri to nahin
wo bhi majbur-e-wafa ho ye zaruri to nahin
log chehre pe kai chehre chaDha lete hain
wo bhi khul kar hi mila ho ye zaruri to nahin
ab ke jab us se milo hath daba kar dekho
ab bhi wo tum se KHafa ho ye zaruri to nahin
justuju kis ki hai ye dasht-e-fana ke is par
wo koi aur raha ho ye zaruri to nahin
dar pe khinche gae kitne zamane mein 'shakil'
har koi isa raha ho ye zaruri to nahin
Source :
- Book : Tanha Tanha (Pg. 110)
- Author : Sayed Shakeel Desnavi
-
Publication : Adshot Publications,
(1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.