us se bhi dur uske KHayalon se dur hain
us se bhī duur us ke ḳhayāloñ se duur haiñ
apne hī ek shaḳhs se sāloñ se duur haiñ
duniyā meñ raushnī kī nahīñ hai koī kamī
ham bad-nasīb haiñ jo ujāloñ se duur haiñ
kuchh kā thā shauq apnā banā kar ke chhoḌnā
so ham bhī aise chāhne vāloñ se duur haiñ
detā phire javāb yahāñ kaun ab to ham
uljhan bhare tamām savāloñ se duur haiñ
saaqī bhī hai sharāb bhī 'sangīt' sāmne
phir bhī hamāre hoñTh piyāloñ se duur haiñ
us se bhi dur us ke KHayalon se dur hain
apne hi ek shaKHs se salon se dur hain
duniya mein raushni ki nahin hai koi kami
hum bad-nasib hain jo ujalon se dur hain
kuchh ka tha shauq apna bana kar ke chhoDna
so hum bhi aise chahne walon se dur hain
deta phire jawab yahan kaun ab to hum
uljhan bhare tamam sawalon se dur hain
saqi bhi hai sharab bhi 'sangit' samne
phir bhi hamare honTh piyalon se dur hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.