us se bichhaD ke dil ko manane ki baat thi
us se bichhaḌ ke dil ko manāne kī baat thī
kaale samundaroñ meñ nahāne kī baat thī
kyā kījiye ki ham ko koī aur bhā gayā
vaise to ek umr nibhāne kī baat thī
nas nas meñ bas gayā thā koī jogiyā badan
ḳhushbū badan meñ us ke jagāne kī baat thī
lāzim thā us se tark-e-ta.alluq ki us ke saath
jo baat thī vo guzre zamāne kī baat thī
barg-e-ḳhizāñ huuñ mauj-e-havā hai mirā nasīb
shāḳh-e-shajar ko itnā jatāne kī baat thī
us se milā to jism ke par phaḌphaḌā uThe
ḳhud se mile to jism milāne kī baat thī
ai 'soz' us kā haath milānā bahāna thā
likkhā huā nasīb miTāne kī baat thī
us se bichhaD ke dil ko manane ki baat thi
kale samundaron mein nahane ki baat thi
kya kijiye ki hum ko koi aur bha gaya
waise to ek umr nibhane ki baat thi
nas nas mein bas gaya tha koi jogiya badan
KHushbu badan mein us ke jagane ki baat thi
lazim tha us se tark-e-talluq ki us ke sath
jo baat thi wo guzre zamane ki baat thi
barg-e-KHizan hun mauj-e-hawa hai mera nasib
shaKH-e-shajar ko itna jatane ki baat thi
us se mila to jism ke par phaDphaDa uThe
KHud se mile to jism milane ki baat thi
ai 'soz' us ka hath milana bahana tha
likkha hua nasib miTane ki baat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.