us se KHwabon mein samna hoga
us se ḳhvāboñ meñ sāmnā hogā
hijr kā lutf do-gunā hogā
kuchh ujāle bhī saath rakh lenā
dasht-e-duniyā bahut ghanā hogā
us ko kuchh der dekhne ke liye
pahle har or dekhnā hogā
vo bhī duniyā ke taur siikh gayā
ya.anī ab us ko chhoḌnā hogā
us ne pūchhī hai merī ḳhair-o-ḳhabar
ab mujhe jhuuT bolnā hogā
us se KHwabon mein samna hoga
hijr ka lutf do-guna hoga
kuchh ujale bhi sath rakh lena
dasht-e-duniya bahut ghana hoga
us ko kuchh der dekhne ke liye
pahle har or dekhna hoga
wo bhi duniya ke taur sikh gaya
yani ab us ko chhoDna hoga
us ne puchhi hai meri KHair-o-KHabar
ab mujhe jhuT bolna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.