us se kya chhup sake banai baat
us se kyā chhup sake banā.ī baat
taaḌ jaa.e jo dil kī aa.ī baat
kahiye guzrī hai ek saañ kis kī
kabhī bigḌī kabhī ban aa.ī baat
rahe dil meñ to hai vo baat apnī
muñh se niklī huī parā.ī baat
maiñ samajhtā huuñ ye na.ī chāleñ
kabhī chhuptī nahīñ sikhā.ī baat
kah diyā apne dil ko ḳhud be-rahm
chhīn lī mere muñh kī aa.ī baat
rakh liyā āshiqoñ ne nām-e-vafā
ga.ī jaañ par na jaane paa.ī baat
rañg bigḌā hai un kī sohbat kā
ab nahīñ hai vo ibtidā.ī baat
mujh se be-vaj.h hote ho bad-zan
kar ke bāvar sunī-sunā.ī baat
kyā ho un kā mizāj-dāñ koī
rūThnā khel hai laḌā.ī baat
ġhair kā zikr gar na thā sāhab
mere aate hī kyuuñ uḌaa.ī baat
dil meñ rakhtā hai ḳhuub sun ke 'habīb'
chāhe apnī ho yā parā.ī baat
us se kya chhup sake banai baat
taD jae jo dil ki aai baat
kahiye guzri hai ek san kis ki
kabhi bigDi kabhi ban aai baat
rahe dil mein to hai wo baat apni
munh se nikli hui parai baat
main samajhta hun ye nai chaalen
kabhi chhupti nahin sikhai baat
kah diya apne dil ko KHud be-rahm
chhin li mere munh ki aai baat
rakh liya aashiqon ne nam-e-wafa
gai jaan par na jaane pai baat
rang bigDa hai un ki sohbat ka
ab nahin hai wo ibtidai baat
mujh se be-wajh hote ho bad-zan
kar ke bawar suni-sunai baat
kya ho un ka mizaj-dan koi
ruThna khel hai laDai baat
ghair ka zikr gar na tha sahab
mere aate hi kyun uDai baat
dil mein rakhta hai KHub sun ke 'habib'
chahe apni ho ya parai baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.