us se kyon koi puchhta hi nahin
us se kyoñ koī pūchhtā hī nahīñ
vo agar mujh ko sochtā hī nahīñ
kahne ko to vo jaan hai merī
kahne kā mujh ko hausla hī nahīñ
merī manzil rakhī ga.ī hai vahāñ
jis taraf koī rāsta hī nahīñ
us ke har pal kī hai ḳhabar mujh ko
in dinoñ jis se rābta hī nahīñ
us ke andar chubhā huā huuñ maiñ
jaane kyoñ mujh ko DhūñDhtā hī nahīñ
log pūjeñ vafā.eñ karne par
aur koī aisā silsila hī nahīñ
soch kar jis ko likhne baiThtā huuñ
maiñ ne us ko 'ġhazal' likhā hī nahīñ
us se kyon koi puchhta hi nahin
wo agar mujh ko sochta hi nahin
kahne ko to wo jaan hai meri
kahne ka mujh ko hausla hi nahin
meri manzil rakhi gai hai wahan
jis taraf koi rasta hi nahin
us ke har pal ki hai KHabar mujh ko
in dinon jis se rabta hi nahin
us ke andar chubha hua hun main
jaane kyon mujh ko DhunDhta hi nahin
log pujen wafaen karne par
aur koi aisa silsila hi nahin
soch kar jis ko likhne baiThta hun
main ne us ko 'ghazal' likha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.