us se mil kar hui maKHmur zuleKHa ki tarah
us se mil kar huī maḳhmūr zuleḳhā kī tarah
maiñ bhī huuñ 'ishq meñ mas.hūr zuleḳhā kī tarah
merā aa.iin hai īsār kisī miirā kā
aur bebākī hai dastūr zuleḳhā kī tarah
dukh to is kā hai magar huuñ maiñ barābar kī sharīk
dil to merā bhī huā chuur zuleḳhā kī tarah
'ishq sachchā ho muqaddas ho to martā kab hai
'ishq meñ yuuñ huuñ maiñ mash.hūr zuleḳhā kī tarah
is qadar ashk bahā.e haiñ tirī furqat meñ
ho ga.iiñ āñkheñ bhī be-nūr zuleḳhā kī tarah
'ishq kā kyā bhalā hāsil hai sivā.e is ke
hosh se ho ga.ī maiñ duur zuleḳhā kī tarah
bas vahī shaḳhs 'vilā' us kī mohabbat meñ mare
jis ko rusvā.ī ho manzūr zuleḳhā kī tarah
us se mil kar hui maKHmur zuleKHa ki tarah
main bhi hun 'ishq mein mashur zuleKHa ki tarah
mera aain hai isar kisi mera ka
aur bebaki hai dastur zuleKHa ki tarah
dukh to is ka hai magar hun main barabar ki sharik
dil to mera bhi hua chur zuleKHa ki tarah
'ishq sachcha ho muqaddas ho to marta kab hai
'ishq mein yun hun main mashhur zuleKHa ki tarah
is qadar ashk bahae hain teri furqat mein
ho gain aankhen bhi be-nur zuleKHa ki tarah
'ishq ka kya bhala hasil hai siwae is ke
hosh se ho gai main dur zuleKHa ki tarah
bas wahi shaKHs 'wila' us ki mohabbat mein mare
jis ko ruswai ho manzur zuleKHa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.