us se mila to dil mera sarshaar ho gaya
us se milā to dil mirā sarshār ho gayā
aur phir bichhaḌ ke ḳhud se hī bezār ho gayā
kauḌī ke bhaav biktā hai is daur meñ zamīr
insān kā vajūd hī bāzār ho gayā
rishte havas kī aag meñ aise jale ke bas
ab to yaqīn apnoñ pe dushvār ho gayā
hirs-o-havas kī aag thī har-sū jalī huī
lekin zamīr merā madad-gār ho gayā
patthar kī choT sah gayā kuchh bhī huā nahīñ
lafzoñ kā tiir dil ke mire paar ho gayā
āñkhoñ se terī yaad kā sāvan baras paḌā
sapnā mirī hayāt kā sākār ho gayā
us se mila to dil mera sarshaar ho gaya
aur phir bichhaD ke KHud se hi bezar ho gaya
kauDi ke bhaw bikta hai is daur mein zamir
insan ka wajud hi bazar ho gaya
rishte hawas ki aag mein aise jale ke bas
ab to yaqin apnon pe dushwar ho gaya
hirs-o-hawas ki aag thi har-su jali hui
lekin zamir mera madad-gar ho gaya
patthar ki choT sah gaya kuchh bhi hua nahin
lafzon ka tir dil ke mere par ho gaya
aankhon se teri yaad ka sawan baras paDa
sapna meri hayat ka sakar ho gaya
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 74)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.