us se rishta tha ek do pal ka
us se rishta thā ek do pal kā
aur sālim hai ḳhauf dil dil kā
kitne tūfān jazb kartā hai
peḌ phir bhī harā hai jañgle kā
aa ga.e boriyā nashīnoñ meñ
dil mirā ho gayā hai maḳhmal kā
har taraf thā nushūr kā aalam
aa ga.e ghar to jī huā halkā
jab se āñkhoñ meñ bujh ga.e sapne
phir kabhī ashk bhī nahīñ chhalkā
koī mausam ho vo baras jaa.e
ek TukḌā hai shoḳh bādal kā
ye zamāna 'nisār' hai us par
ḳhauf jis ko nahīñ hai maqtal kā
us se rishta tha ek do pal ka
aur salim hai KHauf dil dil ka
kitne tufan jazb karta hai
peD phir bhi hara hai jangle ka
aa gae boriya nashinon mein
dil mera ho gaya hai maKHmal ka
har taraf tha nushur ka aalam
aa gae ghar to ji hua halka
jab se aankhon mein bujh gae sapne
phir kabhi ashk bhi nahin chhalka
koi mausam ho wo baras jae
ek TukDa hai shoKH baadal ka
ye zamana 'nisar' hai us par
KHauf jis ko nahin hai maqtal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.