Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar

Abdul Aleem Aasi

us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar

Abdul Aleem Aasi

MORE BYAbdul Aleem Aasi

    us se ummīd-e-vafā ai dil-e-nāshād na kar

    zindagī apnī is armān meñ barbād na kar

    gila-e-zaur na kar shikva-e-bedār na kar

    zulm sahne mazā ye hai ki fariyād na kar

    ḳhalvat-e-dil hai tire aa ke Thaharne jagah

    terī marzī use barbād kar ābād na kar

    bāġhbāñ taak meñ hai ghaat meñ sayyād hai dekh

    sair-e-gulshan abhī ai bulbul-e-nāshād na kar

    kuchh taḌapne sisakne mazā lene de

    itnī tājīl mire qatl meñ jallād na kar

    ab mujhe tāqat-e-parvāz nahīñ ai sayyād

    rahne de qaid qafas se mujhe āzād na kar

    uuprī dil se sahī kuchh to tasallī ho jaa.e

    saaf inkār se zālim mujhe nāshād na kar

    dar-e-mahbūb tak ai baḳht mujhe pahūñchā de

    aur kuchh us se sivā mirī imdād na kar

    be-dhaḌak jaan sabhī ahl-e-vafā dete haiñ

    faqat mid.hat-e-jā.bāzī-e-farhād na kar

    ġham-e-dildār ne rag rag lahū chuus liyā

    mujh se ab chheḌ ai nashtar-e-faulād na kar

    laakh dushvār sahī zabt-e-fuġhāñ ai bulbul

    magar ik uf bhī to be-marzī-e-sayyād na kar

    sadma-e-hijr ke shikvoñ pe vo bole shab-e-vasl

    ga.ī guzrī huī bātoñ ko ab yaad na kar

    ai dil us shoḳh tasvīr tasavvur meñ to khīñch

    kaam maanī se na rakh minnat-e-bahzād na kar

    'āsī'-e-be-sar-o-sāmāñ ko paḌā rahne de

    apne kūche se uThā kar use nāshād na kar

    us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar

    zindagi apni is arman mein barbaad na kar

    gila-e-zaur na kar shikwa-e-bedar na kar

    zulm sahne ka maza ye hai ki fariyaad na kar

    KHalwat-e-dil hai tere aa ke Thaharne ki jagah

    teri marzi use barbaad kar aabaad na kar

    baghban tak mein hai ghat mein sayyaad hai dekh

    sair-e-gulshan abhi ai bulbul-e-nashad na kar

    kuchh taDapne ka sisakne ka maza lene de

    itni tajil mere qatl mein jallad na kar

    ab mujhe taqat-e-parwaz nahin ai sayyaad

    rahne de qaid qafas se mujhe aazad na kar

    upri dil se sahi kuchh to tasalli ho jae

    saf inkar se zalim mujhe nashad na kar

    dar-e-mahbub tak ai baKHt mujhe pahuncha de

    aur kuchh us se siwa tu meri imdad na kar

    be-dhaDak jaan sabhi ahl-e-wafa dete hain

    tu faqat midhat-e-jabazi-e-farhad na kar

    gham-e-dildar ne rag rag ka lahu chus liya

    mujh se ab chheD tu ai nashtar-e-faulad na kar

    lakh dushwar sahi zabt-e-fughan ai bulbul

    magar ek uf bhi to be-marzi-e-sayyaad na kar

    sadma-e-hijr ke shikwon pe wo bole shab-e-wasl

    gai guzri hui baaton ko tu ab yaad na kar

    ai dil us shoKH ki taswir tasawwur mein to khinch

    kaam mani se na rakh minnat-e-bahzad na kar

    'asi'-e-be-sar-o-saman ko paDa rahne de

    apne kuche se uTha kar use nashad na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now