us shoKH ka humne jo kabhi nam liya hai
us shoḳh kā ham ne jo kabhī naam liyā hai
vo huuk uThī hai ki jigar thaam liyā hai
lahrāte hue sham.a ke sho.ale kī zabāñ se
parvānoñ ne jal jaane kā paiġhām liyā hai
mahfil se tirī jab kiyā uThne kā irāda
nazroñ ne tirī dāman-e-dil thaam liyā hai
ab dekhiye is shauq kā anjām bhī kyā ho
saaqī se chhalaktā huā ik jaam liyā hai
bichhḌe hue rindān-e-balā-nosh ke ġham meñ
ashk āñkhoñ meñ bhar aa.e haiñ jab jaam liyā hai
be-vaj.h nahīñ aaj ye āñkhoñ meñ namī sī
ashkoñ se 'riyāz' aap ne kuchh kaam liyā hai
us shoKH ka hum ne jo kabhi nam liya hai
wo huk uThi hai ki jigar tham liya hai
lahraate hue shama ke shoale ki zaban se
parwanon ne jal jaane ka paigham liya hai
mahfil se teri jab kiya uThne ka irada
nazron ne teri daman-e-dil tham liya hai
ab dekhiye is shauq ka anjam bhi kya ho
saqi se chhalakta hua ek jam liya hai
bichhDe hue rindan-e-bala-nosh ke gham mein
ashk aankhon mein bhar aae hain jab jam liya hai
be-wajh nahin aaj ye aankhon mein nami si
ashkon se 'riyaz' aap ne kuchh kaam liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.