us shoKH ke latif ishaaron ko dekhiye
us shoKH ke latif ishaaron ko dekhiye
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
us shoḳh ke latīf ishāroñ ko dekhiye
bikhre hue hasīn nazāroñ ko dekhiye
har ek shai meñ us kā hī jalva hai rū-ba-rū
ye ek dekhiye ki hazāroñ ko dekhiye
nazroñ meñ gar samāyā hai us yaar kā jamāl
dar dar galī galī meñ nigāroñ ko dekhiye
ye kis ke rañg-o-rūp kā aks-e-jamīl hai
chhā.ī huī chaman meñ bahāroñ ko dekhiye
nairañgī-e-hayāt hai har samt jalva-gar
tūfāñ ko dekhiye ki kināroñ ko dekhiye
parde uThā ke aaj shabistān-e-aish ke
haañ ik nigāh dard ke māroñ ko dekhiye
ulfat meñ terī haar chuke haiñ jo jān-o-dil
apne kabhī to sīna-fagāroñ ko dekhiye
kyoñ umr-e-muḳhtasar ko kareñ vaqf-e-ranj-o-ġham
dam bhar to zindagī kī bahāroñ ko dekhiye
dam bhar kahīñ thameñ na ye roke kahīñ rukeñ
is qulzum-e-hayāt ke dhāroñ ko dekhiye
sair-e-chaman na yaar na mutrib na shaġhl-e-mai
kyā dekh kar 'habīb' bahāroñ ko dekhiye
us shoKH ke latif ishaaron ko dekhiye
bikhre hue hasin nazaron ko dekhiye
har ek shai mein us ka hi jalwa hai ru-ba-ru
ye ek dekhiye ki hazaron ko dekhiye
nazron mein gar samaya hai us yar ka jamal
dar dar gali gali mein nigaron ko dekhiye
ye kis ke rang-o-rup ka aks-e-jamil hai
chhai hui chaman mein bahaaron ko dekhiye
nairangi-e-hayat hai har samt jalwa-gar
tufan ko dekhiye ki kinaron ko dekhiye
parde uTha ke aaj shabistan-e-aish ke
han ek nigah dard ke maron ko dekhiye
ulfat mein teri haar chuke hain jo jaan-o-dil
apne kabhi to sina-fagaron ko dekhiye
kyon umr-e-muKHtasar ko karen waqf-e-ranj-o-gham
dam bhar to zindagi ki bahaaron ko dekhiye
dam bhar kahin thamen na ye roke kahin ruken
is qulzum-e-hayat ke dhaaron ko dekhiye
sair-e-chaman na yar na mutrib na shaghl-e-mai
kya dekh kar 'habib' bahaaron ko dekhiye
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 59)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.