us shoKH ko apna karne ka be-samjhe na arman kar lena
us shoKH ko apna karne ka be-samjhe na arman kar lena
Riyaz Ghazipuri
MORE BYRiyaz Ghazipuri
us shoḳh ko apnā karne kā be-samjhe na armāñ kar lenā
bhūle se kabhī aisā saudā mat ai dil-e-nādāñ kar lenā
anjām-e-mohabbat kyā hogā āġhāz meñ is kā dhyān rahe
dariyā meñ utarne se pahle andāza-e-tūfāñ kar lenā
zāhir meñ ta.alluq laakh rahe ho saktī nahīñ hai yak-jehtī
dil denā kisī kāfir ko agar to pahle musalmāñ kar lenā
hai zabt-e-alam meñ poshīda me.arāj-e-taraqqī kā ziina
tum sabr-o-tahammul se apnī mushkil ko bhī āsāñ kar lenā
ik roz yahāñ se jaanā hai ye baat hamesha yaad rahe
sāmān-e-safar kuchh kar lenā kuchh kār-e-numāyāñ kar lenā
suntā huuñ 'riyāz' is duniyā meñ ik roz shafaq kī shohrat thī
un jaise muazziz logoñ kā tum ḳhud ko sanā-ḳhvāñ kar lenā
us shoKH ko apna karne ka be-samjhe na arman kar lena
bhule se kabhi aisa sauda mat ai dil-e-nadan kar lena
anjam-e-mohabbat kya hoga aaghaz mein is ka dhyan rahe
dariya mein utarne se pahle andaza-e-tufan kar lena
zahir mein talluq lakh rahe ho sakti nahin hai yak-jehti
dil dena kisi kafir ko agar to pahle musalman kar lena
hai zabt-e-alam mein poshida mearaj-e-taraqqi ka zina
tum sabr-o-tahammul se apni mushkil ko bhi aasan kar lena
ek roz yahan se jaana hai ye baat hamesha yaad rahe
saman-e-safar kuchh kar lena kuchh kar-e-numayan kar lena
sunta hun 'riyaz' is duniya mein ek roz shafaq ki shohrat thi
un jaise muazziz logon ka tum KHud ko sana-KHwan kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.