us shoKH se kis tarah kahen dil ki koi baat
us shoKH se kis tarah kahen dil ki koi baat
Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
MORE BYHakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
us shoḳh se kis tarah kaheñ dil kī koī baat
kar detā hai har ek par iz.hār kahī baat
kis darja tanaffur hai unheñ baat se merī
muñh pherte haiñ maiñ ne agar kī bhī koī baat
kyā kahte ho ushshāq ko marnā nahīñ aatā
achchhā tumhīñ dikhlāo rahī tum se yahī baat
piine ke liye aaya thā maiḳhāne meñ zāhid
kyā ḳhuub hameñ aaj ye saaqī ne kahī baat
gar vasl se inkār hai yuuñ hī sahī lekin
kyoñ karte ho tahzīb ke darje se girī baat
kahte haiñ ki vo husn se maġhlūb kareñge
kuchh uḌtī huī aaj ye ham ne bhī sunī baat
hai hazrat-e-'kāmil' kī bahut achchhī ye aadat
kah dete haiñ har ek se vallāh kharī baat
us shoKH se kis tarah kahen dil ki koi baat
kar deta hai har ek par izhaar kahi baat
kis darja tanaffur hai unhen baat se meri
munh pherte hain main ne agar ki bhi koi baat
kya kahte ho ushshaq ko marna nahin aata
achchha tumhin dikhlao rahi tum se yahi baat
pine ke liye aaya tha maiKHane mein zahid
kya KHub hamein aaj ye saqi ne kahi baat
gar wasl se inkar hai yun hi sahi lekin
kyon karte ho tahzib ke darje se giri baat
kahte hain ki wo husn se maghlub karenge
kuchh uDti hui aaj ye hum ne bhi suni baat
hai hazrat-e-'kaamil' ki bahut achchhi ye aadat
kah dete hain har ek se wallah khari baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.