us sine ki waqat hi kya hai jis sine mein tera nur nahin
us siine kī vaq.at hī kyā hai jis siine meñ terā nuur nahīñ
us kāsa-e-sar kī kyā qīmat jo sang-e-junūñ se chuur nahīñ
us dil ko koī kyuuñ dil maane jo jazb-o-junūñ se ḳhālī ho
us sham.a ko ham kyuuñ sham.a kaheñ jo partav-e-shama-e-tūr nahīñ
ye kaif-o-nashāt afzā rāteñ ye aish-o-tarab kī sauġhāteñ
jis shai ke evaz meñ miltī haiñ us shai kā ziyāñ manzūr nahīñ
murda bhī nahīñ ye zinda hai mālik bhī nahīñ ye banda hai
insān nirālī ḳhilqat hai muḳhtār nahīñ majbūr nahīñ
insān kī azmat us pe fidā ik banda-e-ḳhākī vo bhī thā
jo arsh-e-ilāhī chhū aayā phir bhī vo zarā maġhrūr nahīñ
us jān-e-jahāñ kī ḳhushnūdī matlūb-e-junūñ maqsūd-e-safar
socho to ye manzil duur bhī hai socho to ye manzil duur nahīñ
ho shauq-e-safar to rāh-e-safar har samt khulī hai tere liye
dil terā talab se ḳhālī hai tū varna yahāñ ma.azūr nahīñ
ham par vo ‘urūj’-e-ḳhasta-jigar talvār uThāte haiñ lekin
us vaar se taskīñ kyā hogī jo vaar abhī bharpūr nahīñ
us sine ki waqat hi kya hai jis sine mein tera nur nahin
us kasa-e-sar ki kya qimat jo sang-e-junun se chur nahin
us dil ko koi kyun dil mane jo jazb-o-junun se KHali ho
us shama ko hum kyun shama kahen jo partaw-e-shama-e-tur nahin
ye kaif-o-nashat afza raaten ye aish-o-tarab ki saughaten
jis shai ke ewaz mein milti hain us shai ka ziyan manzur nahin
murda bhi nahin ye zinda hai malik bhi nahin ye banda hai
insan nirali KHilqat hai muKHtar nahin majbur nahin
insan ki azmat us pe fida ek banda-e-KHaki wo bhi tha
jo arsh-e-ilahi chhu aaya phir bhi wo zara maghrur nahin
us jaan-e-jahan ki KHushnudi matlub-e-junun maqsud-e-safar
socho to ye manzil dur bhi hai socho to ye manzil dur nahin
ho shauq-e-safar to rah-e-safar har samt khuli hai tere liye
dil tera talab se KHali hai tu warna yahan mazur nahin
hum par wo ‘uruj’-e-KHasta-jigar talwar uThate hain lekin
us war se taskin kya hogi jo war abhi bharpur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.