us sitamgar mein Dal di maine
us sitamgar meñ Daal dī maiñ ne
jaan patthar meñ Daal dī maiñ ne
cup meñ garmī dikhā rahī thī bahut
chaa.e saucer meñ Daal dī maiñ ne
maah bhar kī kamā.ī joḌī aur
us ke zevar meñ Daal dī maiñ ne
phir lapeTā use ba-vaqt-e-sahar
niiñd bistar meñ Daal dī maiñ ne
ik tirā hijr ek us kā visāl
aag sāgar meñ Daal dī maiñ ne
vo jo khultā thā us ke ghar kī taraf
kunDī us dar meñ Daal dī maiñ ne
ek kirdār maar kar 'āfāq'
jaan picture meñ Daal dī maiñ ne
us sitamgar mein Dal di main ne
jaan patthar mein Dal di main ne
cup mein garmi dikha rahi thi bahut
chae saucer mein Dal di main ne
mah bhar ki kamai joDi aur
us ke zewar mein Dal di main ne
phir lapeTa use ba-waqt-e-sahar
nind bistar mein Dal di main ne
ek tera hijr ek us ka visal
aag sagar mein Dal di main ne
wo jo khulta tha us ke ghar ki taraf
kunDi us dar mein Dal di main ne
ek kirdar mar kar 'afaq'
jaan picture mein Dal di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.