us sitamgar ne mujhe aaj pukara kyon hai
us sitamgar ne mujhe aaj pukārā kyoñ hai
sard hoñToñ pe muravvat kā fasāna kyoñ hai
mirī vahshat hai chhupī us kī nazar meñ kyūñkar
us kā chehra mire chehre kī tarah kā kyoñ hai
bāda-e-jāñ meñ utartā hai jo qatra-qatra
vo dil-afroz suḳhan dard ne sīñchā kyoñ hai
dāman-e-dil meñ chhupā.ī haiñ gulābī yādeñ
kaun mahkā hai yahāñ aaj ye dhaḌkā kyoñ hai
vo mujhe kahtā hai ḳhushbū huuñ ġhazal huuñ us kī
us ke lahje meñ magar ḳhauf ḳhizāñ kā kyoñ hai
fāsle baḌhne lage kam na huī majbūrī
dil-e-barbād ko ik shaḳhs kā saudā kyoñ hai
rasm-e-ulfat ko nibhātā hai na jaatā hai kahīñ
vo mujhe bhuul chukā hai to chhupātā kyoñ hai
raaz khultā hai mohabbat kā zarā ruk ruk kar
surḳh phūloñ ke liye koī divāna kyoñ hai
garche 'nīlam' ne kisī ḳhvāb ko sochā to nahīñ
us kī āñkhoñ meñ abhī ek darīcha kyoñ hai
us sitamgar ne mujhe aaj pukara kyon hai
sard honTon pe murawwat ka fasana kyon hai
meri wahshat hai chhupi us ki nazar mein kyunkar
us ka chehra mere chehre ki tarah ka kyon hai
baada-e-jaan mein utarta hai jo qatra-qatra
wo dil-afroz suKHan dard ne sincha kyon hai
daman-e-dil mein chhupai hain gulabi yaaden
kaun mahka hai yahan aaj ye dhaDka kyon hai
wo mujhe kahta hai KHushbu hun ghazal hun us ki
us ke lahje mein magar KHauf KHizan ka kyon hai
fasle baDhne lage kam na hui majburi
dil-e-barbaad ko ek shaKHs ka sauda kyon hai
rasm-e-ulfat ko nibhata hai na jata hai kahin
wo mujhe bhul chuka hai to chhupata kyon hai
raaz khulta hai mohabbat ka zara ruk ruk kar
surKH phulon ke liye koi diwana kyon hai
garche 'nilam' ne kisi KHwab ko socha to nahin
us ki aankhon mein abhi ek daricha kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.