us sitamgar ne ye turfa sitam ijad kiya
us sitamgar ne ye turfa sitam ījād kiyā
ek ko shaad kyā ek ko nāshād kiyā
tum se shikva hai na ġhairoñ se gila hai koī
vahshat-e-dil ne mujhe ishq meñ barbād kiyā
zindagī meñ to kisī se na milī dād-e-vafā
baa'd mere mujhe duniyā ne bahut yaad kiyā
bas isī baat pe ab tak vo ḳhafā haiñ mujh se
itnā pūchhā thā ki kis ne sitam ījād kiyā
jaan par khel ke duniyā ko sañvārā hai 'riyāz'
ham ne vīrāna-e-ālam yūñhī ābād kiyā
us sitamgar ne ye turfa sitam ijad kiya
ek ko shad kya ek ko nashad kiya
tum se shikwa hai na ghairon se gila hai koi
wahshat-e-dil ne mujhe ishq mein barbaad kiya
zindagi mein to kisi se na mili dad-e-wafa
ba'd mere mujhe duniya ne bahut yaad kiya
bas isi baat pe ab tak wo KHafa hain mujh se
itna puchha tha ki kis ne sitam ijad kiya
jaan par khel ke duniya ko sanwara hai 'riyaz'
hum ne virana-e-alam yunhi aabaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.