us taraf bhi wahi siyah ghubar
us taraf bhī vahī siyāh ġhubār
ham ne dekhā hai jā ke niiñd ke paar
kitnā kuchh bolnā paḌā tum ko
ek chhoTā sā lafz thā inkār
ḳhushk āñkhoñ kī chup Darāne lagī
dil madad kar mirī kisī ko pukār
tujh ko ai shaḳhs kuchh ḳhabar bhī hai
kis ḳharābe meñ hai tirā bīmār
phir ye dukh bhī to āsmānī hai
kyā ḳhafā honā is zamīn se yaar
us taraf bhi wahi siyah ghubar
hum ne dekha hai ja ke nind ke par
kitna kuchh bolna paDa tum ko
ek chhoTa sa lafz tha inkar
KHushk aankhon ki chup Darane lagi
dil madad kar meri kisi ko pukar
tujh ko ai shaKHs kuchh KHabar bhi hai
kis KHarabe mein hai tera bimar
phir ye dukh bhi to aasmani hai
kya KHafa hona is zamin se yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.