us taraf wo jo nazar paDta hai
us taraf vo jo nazar paḌtā hai
rāste meñ mirā ghar paḌtā hai
iḳhtiyārāt se majbūr hai vo
chāroñ jānib se asar paḌtā hai
aap to mashq kiyā karte haiñ
aur har tiir idhar paḌtā hai
sar jhukāne kī jab aadat na rahī
aaj har gaam pe dar paḌtā hai
rahnumā aaḌ na kar le to hameñ
rāhzan saaf nazar paḌtā hai
kyuuñ na kāñToñ pe lahū Tapkā.eñ
phuul chhūte hī bikhar paḌtā hai
mohtaram zaḳhm luTāte chaliye
raah meñ dil kā nagar paḌtā hai
us taraf wo jo nazar paDta hai
raste mein mera ghar paDta hai
iKHtiyaraat se majbur hai wo
chaaron jaanib se asar paDta hai
aap to mashq kiya karte hain
aur har tir idhar paDta hai
sar jhukane ki jab aadat na rahi
aaj har gam pe dar paDta hai
rahnuma aaD na kar le to hamein
rahzan saf nazar paDta hai
kyun na kanTon pe lahu Tapkaen
phul chhute hi bikhar paDta hai
mohtaram zaKHm luTate chaliye
rah mein dil ka nagar paDta hai
- Book : kamaan (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.