us zulf-e-girah-gir ka bal khana naya hai
us zulf-e-girah-gīr kā bal khānā nayā hai
is bazm meñ shāyad koī dīvāna nayā hai
aayā hai baḌe shauq se mahfil meñ sitamgar
ai sham.a zarā soch le parvāna nayā hai
dekheñ haiñ zamāne meñ hasīñ aur bhī lekin
us ġhairat-e-gul-nāz kā itrānā nayā hai
ai rind qadam apnā zarā soch ke rakhnā
saaqī bhī nayā aur ye mai-ḳhāna nayā hai
afsāne bahut dard ke duniyā ne sune haiñ
ai 'dard' tire dard kā afsāna nayā hai
us zulf-e-girah-gir ka bal khana naya hai
is bazm mein shayad koi diwana naya hai
aaya hai baDe shauq se mahfil mein sitamgar
ai shama zara soch le parwana naya hai
dekhen hain zamane mein hasin aur bhi lekin
us ghairat-e-gul-naz ka itrana naya hai
ai rind qadam apna zara soch ke rakhna
saqi bhi naya aur ye mai-KHana naya hai
afsane bahut dard ke duniya ne sune hain
ai 'dard' tere dard ka afsana naya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.