Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us zulf ke KHayal ka milna muhaal tha

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

us zulf ke KHayal ka milna muhaal tha

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    us zulf ke ḳhayāl milnā muhāl thā

    jab tak muue biloñ se nikalnā muhāl thā

    dete na chaaT agar lab-e-shīrīñ ke zikr

    machle thā tifl-e-ashk bahalnā muhāl thā

    piirī meñ tarz-e-ishq-e-javānī vahī rahā

    sūrat ke saath dil badalnā muhāl thā

    qātil tirī galī meñ hue sab ke sar qalam

    kaise the kūche rāsta chalnā muhāl thā

    shukr-e-ḳhudā butoñ se huiiñ garm-joshiyāñ

    patthar misl-e-shīsha pighalnā muhāl thā

    sar tan se kaT ke laayā shagūfa hamārā ḳhuun

    shāḳh-e-sināñ phūlnā phalnā muhāl thā

    ḳhat ġhubār chhup na sakā rū-e-yār se

    ātish se gul ke ḳhaar jalnā muhāl thā

    mahfil meñ un ko itr diyā hogā ġhair ne

    yāroñ ke ġham meñ hāthoñ ko malnā muhāl thā

    umr-e-ravāñ ko āñkhoñ se dekhā chalā jo yaar

    kyā kiije bigḌe dil sambhalnā muhāl thā

    dil garmī-e-ḳhayāl se sūrat-bañdhī 'nasīm'

    us sīm-tan sāñche meñ Dhalnā muhāl thā

    us zulf ke KHayal ka milna muhaal tha

    jab tak mue bilon se nikalna muhaal tha

    dete na chaT agar lab-e-shirin ke zikr ki

    machle tha tifl-e-ashk bahalna muhaal tha

    piri mein tarz-e-ishq-e-jawani wahi raha

    surat ke sath dil ka badalna muhaal tha

    qatil teri gali mein hue sab ke sar qalam

    kaise the kuche rasta chalna muhaal tha

    shukr-e-KHuda buton se huin garm-joshiyan

    patthar ka misl-e-shisha pighalna muhaal tha

    sar tan se kaT ke laya shagufa hamara KHun

    shaKH-e-sinan ka phulna phalna muhaal tha

    KHat ka ghubar chhup na saka ru-e-yar se

    aatish se gul ke KHar ka jalna muhaal tha

    mahfil mein un ko itr diya hoga ghair ne

    yaron ke gham mein hathon ko malna muhaal tha

    umr-e-rawan ko aankhon se dekha chala jo yar

    kya kije bigDe dil ka sambhalna muhaal tha

    dil garmi-e-KHayal se surat-bandhi 'nasim'

    us sim-tan ka sanche mein Dhalna muhaal tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now