use apne fan pe jo man tha so nahin raha
use apne fan pe jo maan thā so nahīñ rahā
kabhī vo bhī jādū-bayān thā so nahīñ rahā
mire lucknow tirī shakl kitnī badal ga.ī
ye jo shahr ahl-e-zabān thā so nahīñ rahā
mujhe dūsroñ ke muqāble kiyā mustarad
magar in dinoñ vo javān thā so nahīñ rahā
na.e āsmāñ kī talāsh meñ maiñ bhaTak ga.ī
kabhī tū hī merī uḌaan thā so nahīñ rahā
mire dil kī rut bhī tirī tarah hī badal ga.ī
mujhe har ghaḌī tirā dhyān thā so nahīñ rahā
use apne fan pe jo man tha so nahin raha
kabhi wo bhi jadu-bayan tha so nahin raha
mere lucknow teri shakl kitni badal gai
ye jo shahr ahl-e-zaban tha so nahin raha
mujhe dusron ke muqable kiya mustarad
magar in dinon wo jawan tha so nahin raha
nae aasman ki talash mein main bhaTak gai
kabhi tu hi meri uDan tha so nahin raha
mere dil ki rut bhi teri tarah hi badal gai
mujhe har ghaDi tera dhyan tha so nahin raha
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 55)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.