use barishon ne chura liya ki wo baadalon ka makin tha
use bārishoñ ne churā liyā ki vo bādaloñ kā makīn thā
kabhī muḌ ke ye bhī to dekhtā ki mirā vajūd zamīn thā
vahī ek sach thā aur us ke baa'd kī saarī tohmateñ jhuuT haiñ
mire dil ko puurā yaqīn hai vo mohabbatoñ kā amiin thā
use shauq thā ki kisī jazīre pe us ke naam kā phuul ho
mujhe pyaar karnā sikhā gayā mirā dost kitnā zahīn thā
kabhī sāhiloñ pe phiroge to tumheñ sīpiyāñ hī batā.eñgī
mirī aañkh meñ jo simaT gayā vahī ashk sab se hasīn thā
tujhe kis tarah se ḳhabar huī ki mirī hayāt sañvar ga.ī
zarā apne dil se to pūchh le ye gumān thā ki yaqīn thā
use barishon ne chura liya ki wo baadalon ka makin tha
kabhi muD ke ye bhi to dekhta ki mera wajud zamin tha
wahi ek sach tha aur us ke ba'd ki sari tohmaten jhuT hain
mere dil ko pura yaqin hai wo mohabbaton ka amin tha
use shauq tha ki kisi jazire pe us ke nam ka phul ho
mujhe pyar karna sikha gaya mera dost kitna zahin tha
kabhi sahilon pe phiroge to tumhein sipiyan hi bataengi
meri aankh mein jo simaT gaya wahi ashk sab se hasin tha
tujhe kis tarah se KHabar hui ki meri hayat sanwar gai
zara apne dil se to puchh le ye guman tha ki yaqin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.