use bhi hath malte dekhna hai
use bhī haath malte dekhnā hai
ye manzar bhī badalte dekhnā hai
charāġh-e-dard tāq-e-jāñ pe rakh kar
havāoñ ko machalte dekhnā hai
zarā ik lams kī hiddat atā ho
agar patthar pighalte dekhnā hai
abhī āñkheñ bachā rakkho ki ham ko
sadī kā ḳhvāb phalte dekhnā hai
baḌī ma.asūm ḳhvāhish hai 'munavār'
kabhī sūraj nikalte dekhnā hai
use bhi hath malte dekhna hai
ye manzar bhi badalte dekhna hai
charagh-e-dard taq-e-jaan pe rakh kar
hawaon ko machalte dekhna hai
zara ek lams ki hiddat ata ho
agar patthar pighalte dekhna hai
abhi aankhen bacha rakkho ki hum ko
sadi ka KHwab phalte dekhna hai
baDi masum KHwahish hai 'munawar'
kabhi suraj nikalte dekhna hai
- Book : Urdu Adab (Pg. 65)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.