use bhi lauT kar aana nahin tha
use bhī lauT kar aanā nahīñ thā
vo jis ke sāmne rasta nahīñ thā
usī ke ḳhvāb dekhe jā rahe the
jise ham ne kabhī dekhā nahīñ thā
hamārā zāhir-o-bātin mukammal
kisī ke ishq meñ Duubā nahīñ thā
isī ummīd par zinda the ab tak
masīhā lauT kar aayā nahīñ thā
saroñ kī bhiiḌ thī hadd-e-nazar tak
magar un meñ koī zinda nahīñ thā
ghane peḌoñ kī majbūrī to dekho
kahīñ bhī duur tak saaya nahīñ thā
use bhi lauT kar aana nahin tha
wo jis ke samne rasta nahin tha
usi ke KHwab dekhe ja rahe the
jise hum ne kabhi dekha nahin tha
hamara zahir-o-baatin mukammal
kisi ke ishq mein Duba nahin tha
isi ummid par zinda the ab tak
masiha lauT kar aaya nahin tha
saron ki bhiD thi hadd-e-nazar tak
magar un mein koi zinda nahin tha
ghane peDon ki majburi to dekho
kahin bhi dur tak saya nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.