use bhula ke bhi yaadon ke silsile na gae
use bhulā ke bhī yādoñ ke silsile na ga.e
dil-e-tabāh tire us se rābte na ga.e
kitāb-e-zīst ke unvāñ badal ga.e lekin
nisāb-e-jāñ se kabhī us ke tazkire na ga.e
mujhe to apnī hī sāda-dilī ne luuTā hai
ki mere dil se muravvat ke hausle na ga.e
maiñ chāñd aur sitāroñ ke giit gaatā rahā
mire hī ghar se añdheroñ ke qāfile na ga.e
'ra.īs' jur.at-e-iz.hār merā virsa hai
qasīde mujh se kisī shaah ke likhe na ga.e
use bhula ke bhi yaadon ke silsile na gae
dil-e-tabah tere us se rabte na gae
kitab-e-zist ke unwan badal gae lekin
nisab-e-jaan se kabhi us ke tazkire na gae
mujhe to apni hi sada-dili ne luTa hai
ki mere dil se murawwat ke hausle na gae
main chand aur sitaron ke git gata raha
mere hi ghar se andheron ke qafile na gae
'rais' jurat-e-izhaar mera wirsa hai
qaside mujh se kisi shah ke likhe na gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.