use bhula na saki naqsh itne gahre the
use bhulā na sakī naqsh itne gahre the
ḳhayāl-o-ḳhvāb pe mere hazār pahre the
vo ḳhush gumāñ the to jo ḳhvāb the sunahre the
vo bad-gumāñ the añdhere the aur gahre the
jo aaj hotī koī baat baat ban jaatī
use sunāne ke imkān bhī sunahre the
samā'atoñ ne kiyā raqs mast ho ho kar
sadā meñ us kī hasīñ biin jaise lahre the
hamāre dard kī ye dāstān suntā kaun
yahāñ to jo bhī the munsif vo saare bahre the
chale ga.e vo sharar bo ke is qabīle meñ
to qatl hone ko 'shāhīn' ham bhī Thahre the
use bhula na saki naqsh itne gahre the
KHayal-o-KHwab pe mere hazar pahre the
wo KHush guman the to jo KHwab the sunahre the
wo bad-guman the andhere the aur gahre the
jo aaj hoti koi baat baat ban jati
use sunane ke imkan bhi sunahre the
sama'aton ne kiya raqs mast ho ho kar
sada mein us ki hasin bin jaise lahre the
hamare dard ki ye dastan sunta kaun
yahan to jo bhi the munsif wo sare bahre the
chale gae wo sharar bo ke is qabile mein
to qatl hone ko 'shahin' hum bhi Thahre the
- Book : Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 80)
- Author : Salma Shaheen
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.