use har Khaar-o-gul pyara lage hai
use har ḳhār-o-gul pyārā lage hai
ye dil kambaḳht āvāra lage hai
suḳhan 'ājiz' kā kyoñ pyārā lage hai
ye koī dard kā maarā lage hai
khilā.e haiñ vo gul zaḳhmoñ ne us ke
hasīñ jin se chaman saarā lage hai
lage hai phuul sunñe meñ har ik sher
samajh lene pe añgāra lage hai
ye hai luuTā huā is sañg-dil kā
jo dekhe meñ bahut pyārā lage hai
tum āḳhir bad-gumāñ 'ājiz' se kyoñ ho
vo bechāra to bechāra lage hai
use har KHar-o-gul pyara lage hai
ye dil kambaKHt aawara lage hai
suKHan 'ajiz' ka kyon pyara lage hai
ye koi dard ka mara lage hai
khilae hain wo gul zaKHmon ne us ke
hasin jin se chaman sara lage hai
lage hai phul sunne mein har ek sher
samajh lene pe angara lage hai
ye hai luTa hua is sang-dil ka
jo dekhe mein bahut pyara lage hai
tum aaKHir bad-guman 'ajiz' se kyon ho
wo bechaara to bechaara lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.