use ek KHizr-e-manzil mil gaya hai
use ik ḳhizr-e-manzil mil gayā hai
jise dard-āshnā dil mil gayā hai
gudāz-e-sham’ paidā kar jo tujh ko
libās-e-sham'-e-mahfil mil gayā hai
jafā-kash haiñ abhī tūfāñ se do-chār
tan-āsānoñ ko sāhil mil gayā hai
pareshāñ haiñ vo duzdīda nigāheñ
surāġh-e-jazba-e-dil mil gayā hai
bichhā.e ham ne chashm-o-dil jo ham ko
koī gum-karda manzil mil gayā hai
'ravish' jis kā tasavvur bhī hai dushvār
hameñ vo kār-e-mushkil mil gayā hai
use ek KHizr-e-manzil mil gaya hai
jise dard-ashna dil mil gaya hai
gudaz-e-sham’ paida kar jo tujh ko
libas-e-sham'-e-mahfil mil gaya hai
jafa-kash hain abhi tufan se do-chaar
tan-asanon ko sahil mil gaya hai
pareshan hain wo duzdida nigahen
suragh-e-jazba-e-dil mil gaya hai
bichhae hum ne chashm-o-dil jo hum ko
koi gum-karda manzil mil gaya hai
'rawish' jis ka tasawwur bhi hai dushwar
hamein wo kar-e-mushkil mil gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.