use is waqt is mahfil mein hona chahiye tha KHair
use is waqt is mahfil mein hona chahiye tha KHair
Sapna Moolchandani
MORE BYSapna Moolchandani
use is vaqt is mahfil meñ honā chāhiye thā ḳhair
mohabbat meñ anā ko dil se khonā chāhiye thā ḳhair
na.e rishte banāne the agar shikva bhulā kar sab
to dāman par lagā vo daaġh dhonā chāhiye thā ḳhair
paḌhā thā us kī āñkhoñ meñ adhūrā ek misra' jab
use likh kar ġhazal kā biij bonā chāhiye thā ḳhair
pata thā tum ko mere paas khone ko nahīñ hai kuchh
mujhe kho dene kā Dar tum ko honā chāhiye thā ḳhair
mire qissoñ meñ sun kar naam us kā log hañste the
use is baat par thoḌā to ronā chāhiye thā ḳhair
bichhaḌte vaqt us kī aañkh meñ kuchh bhī nahīñ dekhā
use do pal to palkoñ ko bhigonā chāhiye thā ḳhair
agar sapnoñ meñ karnā thā haqīqat ko bayāñ to phir
use is ke liye thoḌā to sonā chāhiye thā ḳhair
maiñ apne 'ishq meñ Duubī thī mujh ko 'ilm hī kab thā
use to bas mohabbat kā khilaunā chāhiye thā ḳhair
mire dil kī tasallī ke liye tasvīr bhejī hai
tumheñ is vaqt mere paas honā chāhiye thā ḳhair
use is waqt is mahfil mein hona chahiye tha KHair
mohabbat mein ana ko dil se khona chahiye tha KHair
nae rishte banane the agar shikwa bhula kar sab
to daman par laga wo dagh dhona chahiye tha KHair
paDha tha us ki aankhon mein adhura ek misra' jab
use likh kar ghazal ka bij bona chahiye tha KHair
pata tha tum ko mere pas khone ko nahin hai kuchh
mujhe kho dene ka Dar tum ko hona chahiye tha KHair
mere qisson mein sun kar nam us ka log hanste the
use is baat par thoDa to rona chahiye tha KHair
bichhaDte waqt us ki aankh mein kuchh bhi nahin dekha
use do pal to palkon ko bhigona chahiye tha KHair
agar sapnon mein karna tha haqiqat ko bayan to phir
use is ke liye thoDa to sona chahiye tha KHair
main apne 'ishq mein Dubi thi mujh ko 'ilm hi kab tha
use to bas mohabbat ka khilauna chahiye tha KHair
mere dil ki tasalli ke liye taswir bheji hai
tumhein is waqt mere pas hona chahiye tha KHair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.