use jab bhi dekha bahut dhyan se
use jab bhī dekhā bahut dhyān se
to palkoñ meñ ā.īne sajne lage
ḳhushā ai sar-e-shām bhīge shajar
tire zaḳhm kuchh aur gahre hue
musāfir pe ḳhud se bichhaḌne kī rut
vo jab ghar ko lauTe bahut dil dukhe
kahīñ duur sāhil pe utre dhanak
kahīñ naav par amn-bādal chale
bahut tīrgī mere mahloñ meñ thī
darīche jo khole to manzar uge
ajab aañch hai dil ke dāman talak
koī aag jaise havā meñ bahe
bahut dastakeñ thiiñ vo Thahrā bhī thā
havā tez ho jab to kyā dar khule
vo chāhā gayā thā jinheñ TuuT kar
parā.e mile the parā.e ga.e
tirā nutq hī mujh ko zanjīr thā
abhī tak na mujh se ye halqe khule
use jab bhi dekha bahut dhyan se
to palkon mein aaine sajne lage
KHusha ai sar-e-sham bhige shajar
tere zaKHm kuchh aur gahre hue
musafir pe KHud se bichhaDne ki rut
wo jab ghar ko lauTe bahut dil dukhe
kahin dur sahil pe utre dhanak
kahin naw par amn-baadal chale
bahut tirgi mere mahlon mein thi
dariche jo khole to manzar uge
ajab aanch hai dil ke daman talak
koi aag jaise hawa mein bahe
bahut dastaken thin wo Thahra bhi tha
hawa tez ho jab to kya dar khule
wo chaha gaya tha jinhen TuT kar
parae mile the parae gae
tera nutq hi mujh ko zanjir tha
abhi tak na mujh se ye halqe khule
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 248)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.